Wednesday 31 August 2011

SAMPOORNA PANCHANG

 

YE SANSAAR SAMAY KE ANUSAAR CHALTA HAI. LOGON KE JEEVAN ME SHUBH ASHUBH SABHI PRAKAAR KE SAMAY KA AAWAGAMAN HOTA HE REHTA HAI. YE STHITIYAN MANAV JEEVAN PER APNA GEHRA PRABHAV DALTI HAIN. HAR VYAKTI CHAHATA HAI KI APNA KARYA KISI SHUBH SAMAY ME KARE AUR ASHUBHTA SE BACH SAKE. BUS ISI VISHAY PER AADHARIT HAI YE MERA AJ KA LEKH. 
      AAJ MAI AAP KO BATAUNGA PANCHANG KEHTE KISE HAIN AUR ISKE ANG KAUN KAUN SE HAI JINKE MALE SE PANCHANG BANTA HAI.


PANCHANG AUR USKE MOOLBHOOT ANG

 PANCHANG KA NIRMAN VAIDIK KAAL ME HUA. ARYABHATTA , VARAHMIHIR AUR BHASKAR JAISE  MAHAAN JYOTISHI AUR GYANI PANDITON NE PANCHANG KO VIKSIT KIYA. PANCHANG KI SABHI GADNAYE SURYA SIDDHANT PER AADHARIT HOTI HAIN. 
PANCHANG KE ANG NIMNVAT HAIN
                
(1)TITHI (2)VAAR (3)NAKSHATRA (4)YOG (5)KARAN 

INHI PAANCH ANGO KO MILAKAR ISKA NAAM PANCHANG PADA . HUM INHI PAANCHO KI GADNA SE DIN KE SHUBH AUR ASUBH SAMAY KO JAANKAR USKE ANUSAAR KARYON KO KARTEY HAIN AUR BAAKI TO SUB PRABHU KI ICHCHHA.


(A) HINDI MAAH-HINDU PANCHANG KO BARAH CHANDRA MAASHO KE AADHAAR PER VARNIT KARTEY HAI .
HINDI MAAHO KE NAAM NIMNVAT HAI

(1)CHAITRA  (2)BAISAAKH  (3)JYESTHA  (4)ASAADH  (5)SHRAAVAN  (6)BHAADRAPAD (7)ASHVIN (8)KAARTIK  (9)MAARGSHEERSHA  (10)PAUSHA  (11)MAAGHA (12)FAALGUN 

(B) TITHIYAN-CHANDRA MAAS ME KUL 30 TITHIYAN HOTI HAI JISME 15 TITHIYAN SHUKLA PAKSHA KI AUR 15 TITHIYAN KRISHNA PAKSHA KI HOTI HAIN.
TITHIYAN KE NAAM NIMNVAT HAIN

(1)PRATIPADAA  (2)DWITIYA  (3)TRITIYA (4)CHTURTHI  (5)PANCHAMI (6)SHASTHI  (7)SAPTAMI  (8)ASHTAMI  (9)NAVAMI  (10)DASHMI  (11)EKADASHI  (12)DWADASHI  (13)TRYODASHI  (14)CHATURDASHI (15)POORNIMA (30)AMAVASHYA 

NOTE- JAB HUM TITHIYO KI GINTI KARTEY HAIN TO YAAD RAKHTE HAIN KI INKI GINTI KI SHURUVAAT SHUKLA PAKSHA KI PRATIPADA SE KI JAATI HAI. POORNIMA KO PANDRAHAVI AUR AMAVASHYA KO TEESWI TITHI KEHTE HAIN. 
JIS DIN SOORYA AUR CHANDRAMA ME 180 ANSH KA ANTAR(DOORI) HOTI HAI US TITHI KO POORNIMA TITHI KEHTE HAIN. IS TITHI KO SOORYA VA CHANDRAMA AAMNE SAAMNE HOTE HAIN. ISKE VIPREET JAB SOORYA AUR CHANDRAMA ME SHOONYA ANSH KA ANTAR(DOORI) HOTI HAI US TITHI KO AMAVASHYA KEHTE HAIN. IS TITHI ME SOORYA AUR CHANDRAMA EK HE STHAAN PER HOTE HAIN.  

(C) NAKSHATRA-  JYOTISH SHASTRA ME 27 NAKSHATRA HAIN. 360 ANSH KE BHACHAKRA KO 27 BHAGO ME VIBHAKT KARNEY PER PRATYEK BHAAG KA MAAN 13-20 ANSH AATA HAI. EK NAKSHATRA SAMANYATA 24 GHANTE TAK REHTA HAI. PARANTU KABHI-KABHI 13-20 ANSH PAAR KARNEY ME NAKSHATRA 24 GHANTE SE KAM YA ADHIK SAMAY BHI LE LETA HAI. CHANDRAMA KO JO SAMAY 13-20 ANSH PAAR KARNEY ME LAGTA HAI USE NAKSHATRA KEHTE HAI. SAVA DO NAKSHATRO KI EK CHANDRA RAASHI HOTI HAI.
PRATYEK NAKSHATRA KO CHAAR CHARNO ME VIBHAJIT KIYA GAYA HAI. KUL 27 NAKSHATRO ME 6 NAKSHATRA GANDMOOL KE HOTE HAIN. GRAHO KI SANKHYA 9 HOTI HAI AUR PRATEYEK GRAH 3 NAKSHATRO KA SWAMI HOTA HAI. 
NAKSHATRO KE NAAM NIMNVAT HAIN

(1) KRITIKA  (2)UTTAR FALGUNI  (3)UTTARASHADHA  (4)ROHINI  (5)HASTA (6) SHRAVANA  (7)MRUGSHIRA  (8)CHITRAA  (9)DHANISTHAA  (10)ASHLESHAA (11) JYESTHAAA  (12)REVATI  (13)PUNARVASU  (14)VISHAKHA  (15)POORVA BHAADRAPAD  (16)BHARANI  (17)POORVA FALGUNI  (18)POORVASHADHA  (19)PUSHYA  (20)ANURADHA  (21)UTTARA BHAADRAPAD  (22)AARDRAA  (23)SWAATI  (24)SATBHISHA  (25)ASHWINI   (26)MAGHA   (27)MOOL 

(D) YOG- JAB SOORYA AUR CHANDRAMA KI GATI ME 13-20 ANSH KA ANTAR HOTA HAI TO EK YOG BANTA HAI. YOG SANKHYA ME KUL 27 HOTE HAIN. YOG SHUBH BHI HOTE HAIN AUR ASHUBH BHI.
YOGON KI AAVASHYAKTA YATRA,MUHURT AADI KARYON ME PADTI HAI.
YOGON KE NAAM NIMNVAT HAIN

(1)VISHKUMBHA  (2)PREETI  (3)AAYUSHMAAN  (4)SAUBHAGYA  (5)SHOBHAN  (6)ATIGAND  (7)SUKARMA  (8)GHRITI  (9)SHOOL  (10)GAND  (11)VRIDHI  (12)DHRUV  (13)VYAGHAAT  (14)HARSHAN  (15)VAJRA  (16)SIDDHI  (17)VYATIPAAT  (18)VARIYAAN  (19)PARIDHI  (20)SHIV  (21)SIDDHA  (22)SAADHYA  (23)SHUBH  (24)SHUKLA  (25)BRAHMA  (26)AINDRA  (27)VAIDHRITI   

(E) KARAN- JYOTISH SIDDHANT KE ANUSAAR EK YOG DO KARAN KE MALE SE BANTA HAI. EK KARAN AADHE YOG SE BANTA HAI. KARAN KI SANKHYA MOOLTAH 11 HOTI HAI.
KARANO KE NAAM NIMNVAT HAI

(1)BAV  (2)BALAV  (3)KAULAV  (4)TAITIL  (5)GAR  (6)VANIJ  (7)VRISHTI  (8)SHAKUNI  (9)CHATUSPAD  (10)NAAG  (11)KINSTUGHAN 

(F) VAAR- JAB HUM VAAR KI BAAT KARTEY HAIN. TO SPASHTA HAI KI HAR SAPTAAH ME SAAT VAAR HOTE HAIN.
VAARON KE NAAM NIMNVAT HAIN

(1)RAVIVAAR  (2)SOMVAAR  (3)MANGALWAAR  (4)BUDDHAVAAR  (5)GURUVAAR  (6)SHUKRAVAAR  (7)SHANIVAAR 
 
 
 

2 comments:

  1. bahut sunder aur gyaan vardhak lekh hai, itni asaani se itni mushkil baat ko samjha diya hai, ki aanand aa gaya, pahle bhi isko janney ka pryaas kiya tha prantu samajh se pare rahta tha. Agey bhi jyotish aur astrology per lekh padhne ko milte rahainge, aisi aap se aasha karte hain - radhey radhey

    ReplyDelete
  2. Mera Poora Prayaas Rahega ki Mai Aise Lekh Sabhi Ko Uplabdh Karwa Saku

    ReplyDelete