Monday 29 August 2011

SHIV MAHATVA


DHARM SHASTRO ME BHAGWAAN SHIV KO JAGATPITA KAHA GAYA HAI KYONKI BHAGWAAN SHIV SARVVYAAPI AUR POORNA BRAHMA HAI. HINDU SANSKRITI ME SHIV KO SABHI JEEVON KE KALYAN KA PRATEEK MAANA JAATA HAI. SHIVA SHABD DHYAN AUR UCHHARAN MAATRA SE MANUSHYA KO PARAM ANAND PRADAAN KARTA HAI. BHAGWAAN SHIV BHARTIYA SANSKRITI KO DARSHAN GYAN KE DWARA SANJEEVANI PRADAAN KARNEY WALE DEV HAIN. YAHI KAARAN HAI KI BHARTIYA DHARM SADHNA ME NIRAKAAR ROOP ME HOTE HUE BHI  SAAKAAR ROOP ME SHIVLING KI POOJA HOTI HAI. DESH-VIDESH ME BHAGWAAN SHIV KE MANDIR HAR CHOTE-BADE SAHARO ME MAOJOOD HAIN JO BHAGWAAN MAHADEV KI VYAPAKTA AUR UNKE BHAKTO KI AASTHA KO PRAKAT KARTE HAIN. 
        BHAGWAAN SHIV HE MAATRA AISE DEV HAIN JINHE HUM BHOLE BHANDAARI KEHTE HAIN KYONKI YE THODI SE HE POOJA ARCHANA SE HE PRASHANNA HO JAATE HAIN. MANAV JAATI KI UTPATTI BHI BHAGWAAN SHIV SE HE MAANI JAATI HAI . ATAH BHAGWAAN SHIV KE SWAROOP KO JAANNA BHI PRATYEK SHIV BHAKT KE LIYE PARAM AVASHYAK HAI. SAMUDRA MANTHAN KE SAMAY ANEK RATNA AUR DIVYA JEEVO KA PRAKATYA HUA JINPER DEVTA AUR ASUR SABHI APNA APNA ADHIKAAR JATANE LAGE KINTU JAB TRILOK KO BHASMA KARNEY KI SHAKTI RAKHNE WALA HALA HAL VISH NIKLA TO SWAYAM BHAGWAAN SHIV NE USE GRAHAN KARKE SABHI PRANI MAATRA KI RAKSHA KI AISE ASHUTOSH HAI NEELKANTH BHAGWAAN. 
          BHAGWAAN SHIV KA SATO GUN,TAPO GUN AUR TAMO GUN TEENO PAR SAMAN ADHIKAAR HAI. SHIV NE APNE MASTAK PER CHANDRAMA KO DHARAN KIYA HAI AUR CHANDRA SHEKHAR KEHLAYE.  CHANDRAMA SE VISHESH SNEH HONE KE KAARAN CHANDRA SOMVAAR KE ADHIPATI HAIN ISLIYE SHIV KA PRIYA VAAR SOMVAAR HAI. SHIV POOJAN KE LIYE ISDIN KA VISHESH MAHATVA HAI IS DIN SHIVLING KI POOJA ARCHNA SE VISHESH SHIV KRIPA PRAPT HOTI HAI.
SABHI SOMVAAR SHIV KO PRIYA HAIN PARANTU SHRAVAN MAAS ME KIYE GAYE VRAT AUR POOJAN KA PHAL POORE VARSH KIYE GAYE POOJAN KE BARABAR HOTA HAI ATAH SHIV POOJAN HETU SHRAVAN MAASH KA VISHESH MAHATVA HAI. 
          SHRAVAN MAAS SIV KO ADHIK PRIYA HONE KA KARAN  VATAVARAN ME JALTATVA KI ADHIKTA HOTI HAI AUR CHANDRA JALTATVA KA ADHIPATI GRAH HAI JO SHIV KE MASTAK PER SUSHOBHIT HAI.
          SHIV UPASANA KE VIBHINNA ROOP VEDO ME VARNIT HAI. SHIV UASANA ME BHAGWAAN SHIV KE PANCAHKSHRI "NAMAH SHIVAY" SHADAKSHARI "OM NAMAH SHIVAY" AUR MAHAMRITUNJAY MANTRA KA VISHESH SHRAVAN MAAS ME  VISHESH MAHATVA HAI . SHRAVAN MAAS ME KIYE GAYE MANTRA JAAP KAI GUNA SHAKTISHAALI SIDDHA HOTE HUE DEKHE GAYE HAI. JAHA SHIV KE PANCHAKSHARI MANTRA SE SADHAK KO SAMAST BHAUTIK SHUKH SUVIDHAON KI PRAPTI HOTI HAI WAHI MAHAMRITUNJAY MANTRA SE SADHAK KO AKAAL MRITU ROG DARIDRATA SE MUKTI  AUR DEERGHAYU KI PRAPTI HOTI HAI. MAHA MRITUNJAY MANTRA, RUDRABHISHEKE AADI KA SAAMUHIK ANUSTHAAN KARNEY SE MAHAMAARI, ATIVRISHTI , ANAVRISHTI AADI SE RAKSHA HOTI HAI AVAM ANYA SABHI PRAKAAR KE UPADRAVO SE SHANTI HOTI HAI.

NOTE-  MANTRA ISHWAR ARADHNA KE SETU HAI INKA UCCHARAN SAHI HONA CHAHIYE KYOKI AGAR SETU HE KAMJOR HAI TO LAKSHYA KAISE PRAPT HOGA. SAHI UCCHARAN KE LIYE AAP IN MANTRO KO YOUTUBE PER SEARCH KARKE PEHLE SAHI UCCHARAN KI PRACTICE KIJIYE TATPASCHAAT INKA PRAYOG POORE AATMAVISHWAAS AUR SHRADDHA BHAAV SE KIJIYE.
                                     SHIV SIDDHAM 
          

No comments:

Post a Comment