Saturday 3 September 2011

HORA ( SABHI KARY HETU UTTAM)


HUM SABHI KARYO KE KARNEY SE PEHLEY SHUBH-ASHUBH CHINTAN AVASHYA KARTEY HAI. HAR SAMAY HUMARE PAAS IN JAANKARIYO HETU SAAMAGRI BHI NAHI HOTI. AISE SAY ME AAP HORA MUHURT JO ASANI SE AAP SWAYAM CALCULATE KAR SAKTE HAI AUR POORE DIN KE SAMAY ME SE APNEY KARYO HETU UPAYUKT SAMAY KO CHUN KAR USE ANUSAR KARYA KAR SAKTE HAIN.

VAAR AUR HORA KA PRABHAV 
JAISA KI AAP SABHI JANTE HAIN KI SAPTAAH ME SAAT VAAR HOTE HAIN.IN SABHI KE SWAMI GRAH ALAG-ALAG HOTE HAIN AUR UNHI KE ANUSAAR IN VAARO KO "KROOR" AUR "SAUMYA" KEHTE HAIN .
SADHARAN ROOP SE KROOR VARO ME KOI KARYA NAHI KARNA CHAHIYE . SAUMYA VAAR SABHI KARYO HETU UTAAM HAIN.
KROOR AUR SAUMYA VAAR AUR UNKE LAKSHIT KARYA NIMNANKIT HAIN 

 SUNDAY-------------------RAJYA SEVA HETU UTTAM-----------------KROOR VAAR
MONDAY-------------------SABHI KARYO HETU UTTAM---------------SAUMYA VAAR 
TUESDAY------------------VAAD VIVAD AUR MUKADME-------------KROOR VAAR
WEDNESDAY------------GYAAN ARJAN HETU UTTAM--------------SAUMYA VAAR 
THURSDAY---------------VIVAAH HETU UTTAM------------------------SAUMYA VAAR
FRIDAY--------------------YATRA HETU UTTAM--------------------------SAUMYA VAAR
SATURDAY --------------DHANOPAARJAN HETU UTTAM----------KROOR VAAR

HORA GYAT KARNEY KI VIDHI  

 HORA GYAT KARNEY KE LIYE UPER DIYE GAYE CHITRA KE ANUSAAR GRAHO KO SUNIYOJIT KARTEY HAI. HORA MUHURT KI SHURUVAAT SOORYA UDAY SE HOTI HAI. PRATYEK HORA EK GHANTE KA HOTA HAI. IS PRAKAAR HORA MUHURT 24 GHANTE TAK GYAT KI JA SAKTI HAI.
JIS DIN KI HORA GYAT KARNI HO US VAAR SE MUHURT SHURU HOGI AUR 1 GHANTE TAK WAHI MUHURT CHALEGI . USKE BAAD AGLE GHANTE KE LIYE CHITRA KE ANUSAAR ANDAR SE BAAHAR KI ORE GRAHO KO KRAM SE LAGATE HUE CHALENGEY.
           HORA SAARANI 

(1) SUNDAY KA HORA 

 RAVI--SHUKRA--BUDDHA--CHANDRA--SHANI--GURU--MANGAL--RAVI

(2) MONDAY KA HORA 

 CHANDRA--SHANI--GURU--MANGAL--RAVI--SHUKRA--BUDDHA--CHANDRA 

(3) TUESDAY KA HORA 

MANGAL--RAVI--SHUKRA--BUDDHA--CHANDRA--SHANI--GURU--MANGAL 

UKTA SAARANI KE ANUSAAR HE HUM HORA MUHURT GYAT KARTEY HAIN 

SHIV SIDDHAM 
 

No comments:

Post a Comment