Wednesday, 31 August 2011

SAMPOORNA PANCHANG

 

YE SANSAAR SAMAY KE ANUSAAR CHALTA HAI. LOGON KE JEEVAN ME SHUBH ASHUBH SABHI PRAKAAR KE SAMAY KA AAWAGAMAN HOTA HE REHTA HAI. YE STHITIYAN MANAV JEEVAN PER APNA GEHRA PRABHAV DALTI HAIN. HAR VYAKTI CHAHATA HAI KI APNA KARYA KISI SHUBH SAMAY ME KARE AUR ASHUBHTA SE BACH SAKE. BUS ISI VISHAY PER AADHARIT HAI YE MERA AJ KA LEKH. 
      AAJ MAI AAP KO BATAUNGA PANCHANG KEHTE KISE HAIN AUR ISKE ANG KAUN KAUN SE HAI JINKE MALE SE PANCHANG BANTA HAI.


PANCHANG AUR USKE MOOLBHOOT ANG

 PANCHANG KA NIRMAN VAIDIK KAAL ME HUA. ARYABHATTA , VARAHMIHIR AUR BHASKAR JAISE  MAHAAN JYOTISHI AUR GYANI PANDITON NE PANCHANG KO VIKSIT KIYA. PANCHANG KI SABHI GADNAYE SURYA SIDDHANT PER AADHARIT HOTI HAIN. 
PANCHANG KE ANG NIMNVAT HAIN
                
(1)TITHI (2)VAAR (3)NAKSHATRA (4)YOG (5)KARAN 

INHI PAANCH ANGO KO MILAKAR ISKA NAAM PANCHANG PADA . HUM INHI PAANCHO KI GADNA SE DIN KE SHUBH AUR ASUBH SAMAY KO JAANKAR USKE ANUSAAR KARYON KO KARTEY HAIN AUR BAAKI TO SUB PRABHU KI ICHCHHA.


(A) HINDI MAAH-HINDU PANCHANG KO BARAH CHANDRA MAASHO KE AADHAAR PER VARNIT KARTEY HAI .
HINDI MAAHO KE NAAM NIMNVAT HAI

(1)CHAITRA  (2)BAISAAKH  (3)JYESTHA  (4)ASAADH  (5)SHRAAVAN  (6)BHAADRAPAD (7)ASHVIN (8)KAARTIK  (9)MAARGSHEERSHA  (10)PAUSHA  (11)MAAGHA (12)FAALGUN 

(B) TITHIYAN-CHANDRA MAAS ME KUL 30 TITHIYAN HOTI HAI JISME 15 TITHIYAN SHUKLA PAKSHA KI AUR 15 TITHIYAN KRISHNA PAKSHA KI HOTI HAIN.
TITHIYAN KE NAAM NIMNVAT HAIN

(1)PRATIPADAA  (2)DWITIYA  (3)TRITIYA (4)CHTURTHI  (5)PANCHAMI (6)SHASTHI  (7)SAPTAMI  (8)ASHTAMI  (9)NAVAMI  (10)DASHMI  (11)EKADASHI  (12)DWADASHI  (13)TRYODASHI  (14)CHATURDASHI (15)POORNIMA (30)AMAVASHYA 

NOTE- JAB HUM TITHIYO KI GINTI KARTEY HAIN TO YAAD RAKHTE HAIN KI INKI GINTI KI SHURUVAAT SHUKLA PAKSHA KI PRATIPADA SE KI JAATI HAI. POORNIMA KO PANDRAHAVI AUR AMAVASHYA KO TEESWI TITHI KEHTE HAIN. 
JIS DIN SOORYA AUR CHANDRAMA ME 180 ANSH KA ANTAR(DOORI) HOTI HAI US TITHI KO POORNIMA TITHI KEHTE HAIN. IS TITHI KO SOORYA VA CHANDRAMA AAMNE SAAMNE HOTE HAIN. ISKE VIPREET JAB SOORYA AUR CHANDRAMA ME SHOONYA ANSH KA ANTAR(DOORI) HOTI HAI US TITHI KO AMAVASHYA KEHTE HAIN. IS TITHI ME SOORYA AUR CHANDRAMA EK HE STHAAN PER HOTE HAIN.  

(C) NAKSHATRA-  JYOTISH SHASTRA ME 27 NAKSHATRA HAIN. 360 ANSH KE BHACHAKRA KO 27 BHAGO ME VIBHAKT KARNEY PER PRATYEK BHAAG KA MAAN 13-20 ANSH AATA HAI. EK NAKSHATRA SAMANYATA 24 GHANTE TAK REHTA HAI. PARANTU KABHI-KABHI 13-20 ANSH PAAR KARNEY ME NAKSHATRA 24 GHANTE SE KAM YA ADHIK SAMAY BHI LE LETA HAI. CHANDRAMA KO JO SAMAY 13-20 ANSH PAAR KARNEY ME LAGTA HAI USE NAKSHATRA KEHTE HAI. SAVA DO NAKSHATRO KI EK CHANDRA RAASHI HOTI HAI.
PRATYEK NAKSHATRA KO CHAAR CHARNO ME VIBHAJIT KIYA GAYA HAI. KUL 27 NAKSHATRO ME 6 NAKSHATRA GANDMOOL KE HOTE HAIN. GRAHO KI SANKHYA 9 HOTI HAI AUR PRATEYEK GRAH 3 NAKSHATRO KA SWAMI HOTA HAI. 
NAKSHATRO KE NAAM NIMNVAT HAIN

(1) KRITIKA  (2)UTTAR FALGUNI  (3)UTTARASHADHA  (4)ROHINI  (5)HASTA (6) SHRAVANA  (7)MRUGSHIRA  (8)CHITRAA  (9)DHANISTHAA  (10)ASHLESHAA (11) JYESTHAAA  (12)REVATI  (13)PUNARVASU  (14)VISHAKHA  (15)POORVA BHAADRAPAD  (16)BHARANI  (17)POORVA FALGUNI  (18)POORVASHADHA  (19)PUSHYA  (20)ANURADHA  (21)UTTARA BHAADRAPAD  (22)AARDRAA  (23)SWAATI  (24)SATBHISHA  (25)ASHWINI   (26)MAGHA   (27)MOOL 

(D) YOG- JAB SOORYA AUR CHANDRAMA KI GATI ME 13-20 ANSH KA ANTAR HOTA HAI TO EK YOG BANTA HAI. YOG SANKHYA ME KUL 27 HOTE HAIN. YOG SHUBH BHI HOTE HAIN AUR ASHUBH BHI.
YOGON KI AAVASHYAKTA YATRA,MUHURT AADI KARYON ME PADTI HAI.
YOGON KE NAAM NIMNVAT HAIN

(1)VISHKUMBHA  (2)PREETI  (3)AAYUSHMAAN  (4)SAUBHAGYA  (5)SHOBHAN  (6)ATIGAND  (7)SUKARMA  (8)GHRITI  (9)SHOOL  (10)GAND  (11)VRIDHI  (12)DHRUV  (13)VYAGHAAT  (14)HARSHAN  (15)VAJRA  (16)SIDDHI  (17)VYATIPAAT  (18)VARIYAAN  (19)PARIDHI  (20)SHIV  (21)SIDDHA  (22)SAADHYA  (23)SHUBH  (24)SHUKLA  (25)BRAHMA  (26)AINDRA  (27)VAIDHRITI   

(E) KARAN- JYOTISH SIDDHANT KE ANUSAAR EK YOG DO KARAN KE MALE SE BANTA HAI. EK KARAN AADHE YOG SE BANTA HAI. KARAN KI SANKHYA MOOLTAH 11 HOTI HAI.
KARANO KE NAAM NIMNVAT HAI

(1)BAV  (2)BALAV  (3)KAULAV  (4)TAITIL  (5)GAR  (6)VANIJ  (7)VRISHTI  (8)SHAKUNI  (9)CHATUSPAD  (10)NAAG  (11)KINSTUGHAN 

(F) VAAR- JAB HUM VAAR KI BAAT KARTEY HAIN. TO SPASHTA HAI KI HAR SAPTAAH ME SAAT VAAR HOTE HAIN.
VAARON KE NAAM NIMNVAT HAIN

(1)RAVIVAAR  (2)SOMVAAR  (3)MANGALWAAR  (4)BUDDHAVAAR  (5)GURUVAAR  (6)SHUKRAVAAR  (7)SHANIVAAR 
 
 
 

Monday, 29 August 2011

SHIV MAHATVA


DHARM SHASTRO ME BHAGWAAN SHIV KO JAGATPITA KAHA GAYA HAI KYONKI BHAGWAAN SHIV SARVVYAAPI AUR POORNA BRAHMA HAI. HINDU SANSKRITI ME SHIV KO SABHI JEEVON KE KALYAN KA PRATEEK MAANA JAATA HAI. SHIVA SHABD DHYAN AUR UCHHARAN MAATRA SE MANUSHYA KO PARAM ANAND PRADAAN KARTA HAI. BHAGWAAN SHIV BHARTIYA SANSKRITI KO DARSHAN GYAN KE DWARA SANJEEVANI PRADAAN KARNEY WALE DEV HAIN. YAHI KAARAN HAI KI BHARTIYA DHARM SADHNA ME NIRAKAAR ROOP ME HOTE HUE BHI  SAAKAAR ROOP ME SHIVLING KI POOJA HOTI HAI. DESH-VIDESH ME BHAGWAAN SHIV KE MANDIR HAR CHOTE-BADE SAHARO ME MAOJOOD HAIN JO BHAGWAAN MAHADEV KI VYAPAKTA AUR UNKE BHAKTO KI AASTHA KO PRAKAT KARTE HAIN. 
        BHAGWAAN SHIV HE MAATRA AISE DEV HAIN JINHE HUM BHOLE BHANDAARI KEHTE HAIN KYONKI YE THODI SE HE POOJA ARCHANA SE HE PRASHANNA HO JAATE HAIN. MANAV JAATI KI UTPATTI BHI BHAGWAAN SHIV SE HE MAANI JAATI HAI . ATAH BHAGWAAN SHIV KE SWAROOP KO JAANNA BHI PRATYEK SHIV BHAKT KE LIYE PARAM AVASHYAK HAI. SAMUDRA MANTHAN KE SAMAY ANEK RATNA AUR DIVYA JEEVO KA PRAKATYA HUA JINPER DEVTA AUR ASUR SABHI APNA APNA ADHIKAAR JATANE LAGE KINTU JAB TRILOK KO BHASMA KARNEY KI SHAKTI RAKHNE WALA HALA HAL VISH NIKLA TO SWAYAM BHAGWAAN SHIV NE USE GRAHAN KARKE SABHI PRANI MAATRA KI RAKSHA KI AISE ASHUTOSH HAI NEELKANTH BHAGWAAN. 
          BHAGWAAN SHIV KA SATO GUN,TAPO GUN AUR TAMO GUN TEENO PAR SAMAN ADHIKAAR HAI. SHIV NE APNE MASTAK PER CHANDRAMA KO DHARAN KIYA HAI AUR CHANDRA SHEKHAR KEHLAYE.  CHANDRAMA SE VISHESH SNEH HONE KE KAARAN CHANDRA SOMVAAR KE ADHIPATI HAIN ISLIYE SHIV KA PRIYA VAAR SOMVAAR HAI. SHIV POOJAN KE LIYE ISDIN KA VISHESH MAHATVA HAI IS DIN SHIVLING KI POOJA ARCHNA SE VISHESH SHIV KRIPA PRAPT HOTI HAI.
SABHI SOMVAAR SHIV KO PRIYA HAIN PARANTU SHRAVAN MAAS ME KIYE GAYE VRAT AUR POOJAN KA PHAL POORE VARSH KIYE GAYE POOJAN KE BARABAR HOTA HAI ATAH SHIV POOJAN HETU SHRAVAN MAASH KA VISHESH MAHATVA HAI. 
          SHRAVAN MAAS SIV KO ADHIK PRIYA HONE KA KARAN  VATAVARAN ME JALTATVA KI ADHIKTA HOTI HAI AUR CHANDRA JALTATVA KA ADHIPATI GRAH HAI JO SHIV KE MASTAK PER SUSHOBHIT HAI.
          SHIV UPASANA KE VIBHINNA ROOP VEDO ME VARNIT HAI. SHIV UASANA ME BHAGWAAN SHIV KE PANCAHKSHRI "NAMAH SHIVAY" SHADAKSHARI "OM NAMAH SHIVAY" AUR MAHAMRITUNJAY MANTRA KA VISHESH SHRAVAN MAAS ME  VISHESH MAHATVA HAI . SHRAVAN MAAS ME KIYE GAYE MANTRA JAAP KAI GUNA SHAKTISHAALI SIDDHA HOTE HUE DEKHE GAYE HAI. JAHA SHIV KE PANCHAKSHARI MANTRA SE SADHAK KO SAMAST BHAUTIK SHUKH SUVIDHAON KI PRAPTI HOTI HAI WAHI MAHAMRITUNJAY MANTRA SE SADHAK KO AKAAL MRITU ROG DARIDRATA SE MUKTI  AUR DEERGHAYU KI PRAPTI HOTI HAI. MAHA MRITUNJAY MANTRA, RUDRABHISHEKE AADI KA SAAMUHIK ANUSTHAAN KARNEY SE MAHAMAARI, ATIVRISHTI , ANAVRISHTI AADI SE RAKSHA HOTI HAI AVAM ANYA SABHI PRAKAAR KE UPADRAVO SE SHANTI HOTI HAI.

NOTE-  MANTRA ISHWAR ARADHNA KE SETU HAI INKA UCCHARAN SAHI HONA CHAHIYE KYOKI AGAR SETU HE KAMJOR HAI TO LAKSHYA KAISE PRAPT HOGA. SAHI UCCHARAN KE LIYE AAP IN MANTRO KO YOUTUBE PER SEARCH KARKE PEHLE SAHI UCCHARAN KI PRACTICE KIJIYE TATPASCHAAT INKA PRAYOG POORE AATMAVISHWAAS AUR SHRADDHA BHAAV SE KIJIYE.
                                     SHIV SIDDHAM 
          

Saturday, 27 August 2011

AAP KA VYAKTITVA DIN-RAAT KE ANUSAAR


YE DHARTI HAMARI MATA HAI. HUM SABHI NE ISI PAR JANMA LIYA HAI LAKIN HUM ME SE HE KOI DEV HAI AUR KOI DANAV. ISKA EK KARAN HAMARE JANMA KA SAMAY BHI HAI. HAR SAMAY EK JAISA NAHI HOTA. KABHI SUKH HOTA HAI TO KABHI DUKH. THEEK ISI PRAKAR DIN AUR RAAT KA BHI HAMARE JEEVAN PER GEHRA PRABHAV PADTA HAI. SAMAY KE ANUSAAR HE HAMARA NATURE HOTA HAI.

DIN ME JANMA

JYOTISH SIDDHANT KE ANUSAAR JIS VYAKTI KA JANMA DIN KE SAMAY HOTA HAI US VYAKTI KA SWABHAV DHARMIK AUR ISHWAR ME AASTHA AUR VISHWAAS RAKHNE WALA HOTA HAI. SAMAJIK KARYON ME BHAAG LENE WALA PUNYATMA HOTA HAI. APNE JEEVAN ME HAR PRAKAAR KI SUKH SUVIDHA KI IKSHA RAKHTA HAI AUR USE PAANE ME PRAYATNARUT REHTA HAI.  MITRO ME BAHUT LOKPRIYA HOTE HAIN AUR BUDDHISTAR UCCHAKOTI KA HOTA HAI. SHARIR KI BANAVAT AKARSHAK AUR RANG UJJAVAL AUR SUNDER HOTA HAI.

RAAT ME JANMA 

JYOTISH SIDDHANT KE ANUSAAR RAAT ME JANMA LENE WALE VYAKTI SWABHAV AUR VYAVHAAR ME KAM BOLNE WALE HOTE HAIN. UNHE CHUP REHNA JYADA PASAND HOTA HAI. VYAKTI THODE KAAMI HOTE HAIN VIPREET LING KE PRATI GHUKAV THODA ADHIK HOTA HAI. VYAKTI CHAALAAK AUR APNA MATLAB NIKALNE ME NIPUN HOTE HAIN. INKE SHRIR ME KOI NA KOI KASHTA BANA HE REHTA HAI. VYAKTI KA KARYA CHUP-CHUPAKAR KARNEY WALA HOTA HAI YE BAHUT SE KARYA BINA KISI KO BATAYE HUE HE KARTE HAIN. INSE BHEETAR KI BAAT JAAN PAANA ASAAN NAHI HOTA.


NOTE- VYAKTI KE SWABHAAV KO POORI TARAH SE JAANNE KE LIYE USKI JANMA RASHI NKSHATRA  AUR GRAHO PER BHI VICHAAR KARNA CHAHIYE.

          SHIV SIDDHAM 

Friday, 26 August 2011

PARAM BHAKTA RAJA ANAAMI

HAMARA DESH GYAN KA SAGAR AUR SONE KI CHIDIYA KAHA JAATA RAHA HAI ISKA MUKHYA KARAN YAHA KI SAMPADA,AACHAAR VICHAAR AUR SANSKRITI RAHI HAI.YE DHARTI MAHAPURUSHO KI DAROHAR HAI.YAHI UNHONE JANMA LIYA AUR SABHI KE SAAMNE ADARSH PRASTUT KIYA LAKIN AAJ HUM SABHI UN ADARSHO KO BHOOLTE JAA RAHE HAIN.             
MAI AAJ YAHA BHAGWAN KE PARAM BHAKTA RAJA ANAAMI KE BAARE ME CHARCHA KARNEY JAA RAHA HU JINHONE  SAMAAJ KE SAAMNE BHAKTI KI EK NAI MISAAL KAAYAM KI. 
        EK BAHUT HE DHARMATMA RAJA BHAGWAN KA PARAM BHAKTA THA. USNE AAJEEVAN DHARMPOORVAK RAAJYA KIYA AUR YATHAKAAL MRITU KO PRAPTA HUA. PUNYAATMA HONE PAR BHI KISI EK PAAP KE PHAL BHUGTAAN KE LIYE YAMDOOT USE NARAKMARG SE LE GAYE. NARAK KA DARSHAN KARKE HE RAJA KA DIL DAHAL GAYA. WAHA KE PEEDIT PRANIYON KA KARUN SWAR USSE SUNA NAHI JAATA THA. VAHAN KA DRISHYA DEKHKAR JYOHI VAH NARAK SEVAKO KE SAATH JAANE LAGA TYOHI NARAK KI PEEDA SE PEEDIT NARAK WAASI BADI JOR SE CHILLAKAR KEHNE LAGE KI HEY RAAJAN AAP GHADI BHAR TO YAHAN AUR RUK JAAYIYE AAP KE ANGO SE SPARSH KARKE AANE WAALI  VAYU SE HAMARI PEEDA EK DUM SHANT HO JAA RAHI HAI AUR HUM PAR MAANO ANAND KI VARSHA HO RAHI HAI DAYA KIJIYE.
 RAJA NE YAH SUNKAR YAMDOOTO SE POOCHA " MERE YAHAN REHNE SE INLOGO KO SUKH KI ANUBHOOTI KYON HO RAHI HAI MAINE AISA KAUN SA KARYA KIYA HAI " YAMDOOTO NE UTTAR DIYA HEY MAHARAJ AAPNE PITRA,ATITHI,DEVTA AUR AASRITO KA BHARAN POSHAN PEHLE KARKE USKE BAAD BACHE HUE DRAVYA SE APNA BHARAN POSHAN KIYA HAI AUR SADA HE HARI NAAM KA SMARAN KARTE HUA DHARM KARM SE PRAJA KI SEVA KI HAI ISILIYE AAP KE SHARIR KO CHOOKAR AANE WALI SHEETAL VAYU SE INLOGO KI NARAK PEEDA SAMAPT HO JA RAHI HAI AUR INHE ANAND KI ANUBHOOTI HO RAHI HAI. AAPKE TEJ AUR AAPKE DARSHAN SE PAAPIYO KO PEEDA PAHUCHANE WALE YAMRAJ KE ASTRA-SHASTA,TEEKSNA CHONCH WALE PAKSHI, NARKAGNI ADI SHABH NISTEJ HOKAR SHAANT HO GAYE HAIN. ISLIYE NARAKWASI PAAPIYON KO ITNA SHUKH MIL RAHA HAI. 
YAH SUNKA RAJA NE KAHA INKE SUKH KO DEKHKAR MUGHE BHI BADA SUKH MIL RAHA HAI MERI AISI MAANYATA HAI KI DUKHIT PRANIYO KE DUKH DOOR KARNEY ME JO SUKH HAI WAH SWARG LOK AUR BRAHMA LOK ME BHI NAHI HAI.  YADI MERE YAHA REHNE SE INKI PEEDA DOOR HOTI HAI TO HEY DOOTO MAI PATHAR KI TARAH ACHAL HOKAR YAHI RAHUNGA. DOOTO NE KHA HEY RAAJAN YEH TO PAAPIYO KE REHNE KA STHAAN NARAK HAI APP YAHA KYO RAHENG. CHALIYE AUR PUNYA LOKO ME JAAKAR APNE PUNYO KE PHAL KA BHOG KIJIYE.
RAJA NE KAHA JAB TAK IN DUKHIT PRANIYON KA DUKHO SE CHUTKAARA NAHI HOGA TABTAK MAI YAHA SE NAHI HATUNGA. KYONKI MERE YAHA REHNE PAR INHE SUKH MIL RAHA HAI. APNI SHRAN ME AAYE HUA SHATRU PAR BHI JO MANUSHYA ANUGRAH NAHI KARTA USKE JEEVAN PER DHIKKAR HAI. DUKHIYON KA DUKH DOOR KARNEY ME JISKA MANN NAHI HAI USKA YAGYA DAAN TAP AADI SABHI KUCH LOK AUR PARLOK ME VYARTH HO JATA HAI. BAALAK, SHARNAGAT AUR VRADHON KE LIYE JISKA CHITT KATHOR HAI MERI DRISHTI ME WO MANUSHYA NAHI RAAKSHAS HAI. IN PRANIYO KE PAAS RHNE SE BHALE HE MUGHE NARKIYA AGNI KE TAAP AUR BHOOKH PYAAS SE BESUDH KAR DENE WAALA DUKH KYON NAA GHELNA PADE INKO SUKHI KARNY KE LIYE MAI WAH DUKH BHI SAH KAR SWARK SE ADHIK SUKH MAHSOOS KARUNGA. MUGH EK KE DUKH PAANE SE YADI ITNO KO SUKH MILTA HAI TO MUGHE ISSE BADHKAR KYA LAABH HOGA.
        YAMDOOTO NE KAHA MAHARAAJ DEKHIYE YE SAAKSHAAT DHARM AUR DEVRAAJ INDRA AAP KO LE JAANE KE LIYE YAHA AAYE HAIN AB AAP KO JAANA HE PADEGA.  ATAH PADHAARIYE. DHARM NE KAHA RAAJAN AAP NE SAMYAK PRAKAR SE MERI UPASANA KI HAI ISLIYE MAI YAHA SE AAP KO SWAYAM SWARG ME LE JAUNGA. AAP DAR NAA KARE VIMAAN PAR JALDI SAWAAR HO. RAJA NE KAHA DHARMRAAJ MERE YAHA REHNE SE HAZARO PRANI SUKH PAA RAHE HAI ATAH MAI YAHA SE NAHI JAUNGA. INDRA NE KAHA RAAJAN APNEY-APNEY KARMO KE ANUSAAR YE PAAPI LOG NARAK BHOG RAHAE HAIN AAP KO BHI PUNYO KA PHAL BHOGNE KE LIYE SWARG CHALNA CHAHIYE. IN NARAK VAASIYO PAR DAYA KARNEY KE PHAL SWAROOP AAP KA PUNYAPHAL AUR BHI LAAKHO GUNA BADH GAYA HAI. ATAH AAP APNEY PUNYO KE PHAL KE LIYE SWARG AVASHYA CHALIYE. RAJA NE KAHA JAB MERE PUNYA SE IN NARAK VASIYO KO ITNA SUKH MILTA HAI TO MAI APNA SAARA PUNYA INKO DETA HOON TAAKI YE SABHI NARAK SE MUKT HO JAAYE. MAI YAHI RAHUNGA . INDRA NE KAHA MAHARAAJ DEKHIYE AAPKE PUNYADAAN SE SAARE NARAK VAASI NARAK SE CHOTKAR APNEY APNEY VIMAANO PAR BAITHKAR SWARG JAA RAHE HAIN. PAR IS PUNYADAAN SE AAPKA PUNYA ITNA BADH GAYA HAI KI AAP AUR BHI OOCHI GATI ME JAAYENGE. 
      RAAJA PAR PUSHPA VRISHTI HONE LAGI AUR INDRA UNHE VIMAAN PAR BAITHKAR SWARG LE GAE. NARAK KE SAARE PRANIYO KA UDHAAR HO GAYA. 

 SHIV SIDDHAM  

Thursday, 25 August 2011

GANPATI POOJAN ME TULSI NISIDDHA KYON?


TULSI SAMAST PAUDHO ME SRESTHA MAANI JAATI HAI. HINDU DHARM ME SAMAST POOJAN KARYON ME TULSI KO PRAMUKHTA DE JAATI HAI. CHARNAMRIT ME BHI TULSI KA PRAYOG KIYA JATA HAI,ISKE PEECHE YAHI KAAMNA HOTI HAI KI TULSI AKAAL MRITU SE RAKSHA KARTI HAI AUR SAMAST VYADHIYON KA NAASH KARTI HAIN.
           PARANTU INHI SRESTHA TULSI KO BHAGWAAN SRI GANESH KI POOJA ME NISIDDHA MAANTE HAI.
           ISKE BAARE ME BRAHMA KALPA KI KATHA PRACHALIT HAI- - - - - 
EK BAAR KI BAAT HAI  TULSI BHAGWAAN TAPASYA HETU BHAGWAAN NARAYAN KO TYAGKAR TEERTHO KA BHRAMAN KARTI HUI GANGA TAT PER PAHUCHI. GANGA TAT PER UNHONE SRI GANESH KO DEKHA JO KI TARUN YUVA LAG RAHE THAY. GANESH JI ATYANT SUNDER,SHUDDHA AUR PEETAMBAR DHARAN KIYE HUE AABHUSHNO SE VIBHOOSIT THEY. GANESH KAAMNA RAHIT JITENDRIYON ME JITENDRIYA SAVASRESTHA YOGI THEY. GANESH JI WAHAN SRI KRISHNA KI ARADHNA ME DHYANRAT THEY.
                 GANESH JI KO DEKHTE HE TULSI KA MAN AAKARSHIT HO GAYA. TAB TULSI UNKA UPHAAS UDANE LAGI. DHYANBHANG HONE PER GANESH JI NE UNKA PARICHAY POOCHA AUR UNKE  WAHAN AAGAMAN KA KARAN JAANNA CHAAHA.
       GANESH JI NE KAHA MAATA TAPASVIYON KA DHYAN BHANG KARNA SADA PAAPJANAK AUR AMANGALKAARI HOTA HAI.
              SHUBHE BHAGWAAN SHRI KRISHNA AAP KA KALYAN KARE 
IS PER TULSI NE KAHA PRABHU-MAI DHARMATMAJ KI KANYA HOON AUR TAPASYA ME SANLAGNA HOON. MERI YAH TAPASYA PATI PRAPTI KE LIYE HAI. ATAH AAP MUGHSE VIVAH KAR LIJIYE. TULSI KI YAH BAAT SUNKAR BUDHI SRESTHA GANESH JI NE UTTAR DIYA KI HEY MAATA VIVAH KARNA BADA BHAYANKAR HOTA HAI. MAI BRAHMACHARI HOON. VIVAH TAPASYA KE LIYE NAASHAK , MOKSHA DWAR KA RAASTA BAND KARNEY WALA , BHAV BANDHAN SE BANDHE SANSHAYON KA UDGAM STHAAN HAI. ATAH AAP MERI ORE SE DHYAN HATA LE AUR KISI ANYA KO PATI ROOP ME TALASH KARE. 
    TAB KUPIT HOKAR TULSI NE BHAGWAAN GANESH KO SHAAP DETE HUE KAHA KI AAP KA VIVAH AAVASHYA HOGA. YAH SUNKAR SHIV PUTRA GANESH NE BHI TULSI KO SHAAP DIYA KI DEVI TUM BHI ASURO SE GRASHTA  HOKAR VRAKSH BANOGI.
       IS SHAAP KO SUNKAR TULSI JI NE VYATHIT HOKAR SRI GANESH KI VANDANA KI.  TAB PRASHANNA HOKA SHRI GANESH NE TULSI SE KAHA KI HEY MANORAME TUM PAUDHON KI SAARBHOOTA BANOGI AUR SAMAYANTAR ME BHAGWAN NARAYAN KI PRIYA BANOGI. SABHI DEVTA AAP SE SNEHA RAKHENGE PARANTU SRI KRISHNA KE LIYE AAP VISHESH PRIYA RAHENGI. AAP KI POOJA MANUSHYON KE LIYE MUKTIDAYANI SIDDHA HOGI PARANTU MERE POOJAN ME AAP SADAIV TYAJYA RAHENGI. 
AISA KEHKAR GANESH JI PUNAH TAP KARNE CHALE GAYE. IDHAR TULSI DEVI DUKHIT HRIDAYA SE PUSHKAR JAKAR TAP ME SANLAGNA HO GAI. TATPASCHAT GANESH KE SHAAP SE WO CHIRKAAL TAK DAITYA SHANKSCHOORNA KI PRIYA PATNI BANI RAHI. DAITYA SHANKHCHOORNA KE SHANKAR JI KE DWARA MAARE JAANE KE BAAD NARAYAN PRIYA TULSI JI KA VRIKSHA KE ROOP ME PRADURBHAAV HUA. 


    
 

Wednesday, 24 August 2011

MAHARISHI ATRI



HAMARA DESH GYAN KA SAGAR AUR SONE KI CHIDIYA KAHA JAATA RAHA HAI ISKA MUKHYA KARAN YAHA KI SAMPADA,AACHAAR VICHAAR AUR SANSKRITI RAHI HAI.YE DHARTI MAHAPURUSHO KI DAROHAR HAI.YAHI UNHONE JANMA LIYA AUR SABHI KE SAAMNE ADARSH PRASTUT KIYA LAKIN AAJ HUM SABHI UN ADARSHO KO BHOOLTE JAA RAHE HAIN.
          MAI AAJ YAHAN MAHAN RISHI AUR MAHAPURUS ATRI JINKI PATNI ANSUIYA (MAHAN PATIVRATA) THI,KA CHARITRA AAP SABHI KE SAAMNE RAKHTA HOON.

                             
                      NAMAMI BHAKTAVATSALAM 
                     KRIPALU SHEEL KOMALAM
                     BHAJAMI TE PADAMBUJAM
                    AKAAMINAM SWADHAMINAM 

YE BRAHMA KE MANAS PUTRA AUR PRAJAPATI HAI.INHONE DAKSHIN DESH ME JANMA LIYA THA.INKI PATNI SATIYON ME SRESTHA ANSUIYA BHAGWAAN KE AVATAAR RISHI KAPIL AUR KARDAM RISHI KI PUTRI DEVHOOTI KI SANTAAN THEE.MAHARISHI ATRI BHAGWAAN KE PARM BHAKTA THEY THEEK UNHI KE AUROOP UNKI PATNI BHI MAHAN TAPASVINI THEE.
                                  BRAHMA NE IN DAMPATTI KO SANTAAN UTPATTI KARKE VANSH BADHANE KI AAGYA DI PARANTU IS DAMPATI KI SANTANOTPATTI KI IKSHA NAHI THEE UNHE TO BHAGWAAN KE DARSHAN KARNEY THEY. ATAH UNHONE GHORE TAPASYA AARAMBH KAR DI.  
     INKE MAHAN AUR DEERGHKAAL TAP SE PRASANNA HOKAR BRAHMA,VISHNU AUR MAHESH NE INHE DARSHAN DIYA,YE DAMPATI BHAGWAAN KI TAPASYA ME ITNE TALLENE THEY KI INHE BHAGWAAN KE AANE KA PATA HE NA CHALA.TAB BHAGWAAN NE INHE SWAYAM JAGAYA.BHAGWAAN KO APNEY SAAMNE PRATYAKSHA DEKHKAR DONO BHAAV VIBHOR HO UTHE,DONO KI SATYA , NISTHA AUR BHAKTI SE BHAGWAAN BHI BHAV VIBHORE HO GAYE.
              BHAGWAAN NE INKO VARDAAN MAANGNE KO KAHA PARANTU RISHI DAMPATI KI NISHTHA TO SANSARIK SUKHO ME NAA THEE. ATAH UNHONE BRAHMA JI KE SRISHTI RACHNA KE AADESH KO MAHATTA DENE KE LIYE TRIDEVON SE APNEY SANTAAN ROOP ME AANE KA VARDAAN MAANGA,TRIDEVON NE TATHASTU KEH KAR VARDAAN DE DIYA.
                       SAMAY AANE PER BRAHMA KE ANSH SE CHANDRAMA, VISHNU KE ANSH SE DATTATREYA AUR SHIV KE ANSH SE RISHI DURVASHA KA JANMA HUA.
         JIN BHAGWAAN KE DARSHANO KO BADE-BADE YOGI AUR MAHATMA TARASTE HAI WAHI BHAGWAAN RISHI ATRI KE AASRAM ME KHELTE THEY,MATA ANSUIA TO UNKE LAALAN PAALAN ME HE LAGI REHTI THEE UNHE AUR KISI CHEEJ KI SUDH BUDH NAA THEE.
       VANVAAS KE SAMAY BHAGWAAN SHREE RAM,LUXMAN AUR SEETA KE SAATH SWAYAM UNKE AASHRAM ME PADHARE AUR MATA ANSUIA SE PRARTHANA KI  SEETA JI KO UPDESH DE.ISPRAKAAR BHGWAAN NE UNKE JEEVAN KO DHANYA KIYA.
            BHAGWAAN RAM KO APNEY AASHRAM ME AAYA DEKHKAR BHAAV VIBHO RISHI ATRI NE BHAGWAAN SRI RAMCHANDRA KI STUTI BADE HE SUNDER SHABDO ME KARTE HUE ANT ME HAATH JODKARPRARTHNA KI-------

                BINATI KARU MUNI NAAI SIRU
              KAHI KAR JORI BAHORI 
           CHARAN SAROROOH NAATH JAANI 
            KABAHU TAJAI MATI MORI 
  

AAP KA VYAKTITVA

DEAR FRIENDS HUM SABHI KA NATURE HAMARE MATA PITA KE NATURE PER JYADATAR AADHARIT HOTA HAI LAKIN HUM JIS DIN JANMA LETE HAI WO DIN HAMARA HOTA HAI AUR HAMARE NATURE ME USI DIN KA ASHAR JYADA HOTA HAI.
           JYOTISH KE ANUSAAR SAPTAAH KE SABHI DINO KA HAMARE JEEVAN PER GEHRA PRABHAV PADTA HAI. JIS DIN HAMARA JANMA HOTA HAI US DIN KE ANUROOP HE HAMARA NATURE AUR CHARACTOR HOTA HAI.


SUNDAY-- SUNDAY KO JANMA LENE WALA VYAKTI GARVSHEEL ,DAANI,CHATUR,GUNVAAN,TEZASVI AUR UTSAAHI HOTA HAI.SWABHAAV SE ATYANT KRODHI HOTA HAI YADI KISI SE GHAGDA HO JAAYE TO APNI POORI SHKTI USSE NIPATNE ME LAGA DETA HAI. 



MONDAY-- MONDAY KO JANMA LENE WALA VYAKTI CHANDRAMA KE PRABHAAV KE KARAN SHAANT,MADHUR VACHAN BOLNE WALA,SUKH DUKH ME SAMAN REHNE WALA,STHIR SWABHAV WALA AUR APNI BOLI SE LOGO KO MOHIT KAR LENE WALA HOTA HAI.


 TUESDAY --TUESDAY KO JANMA LENE WALA VYAKTI MANGAL KE PRABHAAV KE KARAN JATIL SWABHAAV WALA,YUDHA PREMI,DOOSRO KE KARYO ME NUKSA NIKALNE WALA,PARAKRAMI,KABHI KABHI HINSAK SWABHAAV WALA , APNI BAAT PER KAYAM REHNE WALA AUR PRIWAAR KA NAAM ROSHAN KARNE WALA HOTA HAI.


WEDNESDAY-- WEDNESDAY KO JANMA LENE WALA VYAKTI BUDHA KE PRABHAAV KE KARAN GHYANI,METHA BOLNE WALA,VIDYA ADHYAN ME RUCHI RAKHNE WALA,LEKHAN ME RUCHI RAKHNE WALA AUR SAMPATTIWAAN HOTE HAI,YE KISI PAR JALDI VISHWAAS NAHI KARTEY HAI.


THURSDAY-- THURSDAY KO JANMA LENE WALE VYAKTI GURU KE PRABHAAV KE KARAN GYANI,VIVEKSHEEL,DHANVAAN AUR UTTAM SALAHKAAR HOTE HAI. YE DOOSRO KO UPDESH DENE ME SADAIV TATPAR REHTE HAI. YE ADHI SE ADHIK PRASIDHI KE IKSHUK HOTE HAI.


FRIDAY-- FRIDAY KO JANMA LENE WALE VYAKTI SHUKRA KE PRABHAAV KE   KARAN CHNCHAL SWABHAAV KE,HOSIYAAR,,DHANVAAN,SAANSARIK SUKHO ME LIPT REHNE WALE,TARK-VITARK KARNEY WALE HOTE HAI. INKI ISHWAR ME AASTHA KAM HE HOTI HAI AUR YADI HO BHI TO NA KE BARABAR HOTI HAI.  


SATURDAY--  SATURDAY KO JANMA LENE WALE VYAKTI SHANI KE PRABHAV KE KARAN KATHOR SWABHAV WALE AUR PARISHRAMI HOTE HAI.INME DUKH SAHANE KI ADBHUT KSHAMTA HOTI HAI,YE NYAYI AUR GAMBEER SWABHAV WALE HOTE HAI.YE SEVA KARKE NAAM VA PRASIDHI ARJIT KARTE HAI.





Tuesday, 23 August 2011

BHAKTI BHAAV(PRERAK KATHA)


EK GAAV ME EK KUMHAAR REHTA THA. WAH BHAGWAAN KA PARM ANURAGI THA.EK DIN WAH KIRTAN KARTE KARTE BHAGWAAN ME ITNA KHO GAYA KI MITI KO RAUNDATE RAUNDATE APNEY PUTRA KO BHI USI ME RAUND DIYA.
JAB USKI PATNI KI NAJAR PADI TO WAH BAHUT KRODHIT HUI AUR KAHA KI AAP AAJ SE MUGHE SPARSH MAT KARNA.
KUMHAR NE KAHA THEEK HAI.
BHAGWAAN ME BHAKTI BHAV THA ISLIYE USKI PATNI NARAJ HO GAI,PHIR BHI US KE DIL KO THESH NAHI PAHUCHI.
BAAD ME PATNI KO BADA PASHCHTAAP HUA KI AAGE VANSH KAISE CHALEGA.
APNEY PITA KO MANAKAR USNEY APNI BEHAN KI SHADI APNEY PATI SE KARWAI.
BETI KO VIDA KARTEY SAMAY PITA NE KAHA KI BETA MERI IS PUTRI KO BHI PEHLI PUTRI KE SAMAN HE RAKHNA.
KUMHAR BOLA THEEK HAI PITAJI JAISI AAPKI AAGYA.
BHAGWAAN KE ANURAGI PARAM SARAL SWABHAV KE HOTE HAI ISILIYE SHARI SHARTO KO ASHANI SE MAAN LETE HAI.
KUMHAAR NE APNI DONO PATNIYON KO SAMAN BHAV SE DEKHNA SHURU KAR DIYA USKE IS VYAVHAR SE DONO DUKHI REHNE LAGI AUR SOCHNE LAGI KIS PRAKAR INHE SANSARIK BANAYA JAYE KYONKI KUMHA TO POORI TARAH SE ISHWAR ME LAGAN LAGA CHUKA THA.
EK RATRI KO DONO BEHNO NE KUMHAR KA HAATH PAKAD KAR APNEY SHARIR SE PPARSH KARAYA KUMHA KO ISSE BADI GLANI HUI USNE SOCHA MERA HAATH APAVITRA HO GAYA .
USNE APNEY HAATH KO SAZA DI.
BHKTI BHAV THEEK USI PRAKAAR BHKT KO ISHWAR KA ANURAAGI BANA DETA HAI JAISE KI KOI PTIVRATA STRI APNEY PATI KE ALAVA DOOSRE PURUSH KI ORE NAHI DEKH SAKTI. 

MAARKANDEYA RISHI NE KYA KIYA JO MAHAKAAL BHAGWAN NE UNHE KAAL KE PAAS SE MUKT KIYA

                                          CLICK ON VIDEO TO SEE

BHAGWAN SHIV KE UPASAK RISHI MRIKANDU KE PUTRA MARKANDEYA HUWE,PARANTU UNKA JEEVAN KAAL KEVAL 13 YRS THA,JAB UNHE YE PATA CHALA TO UNHONE APNE TAN MAN SE BHAGWAAN SHIV KI ARADHNA SHURU KAR DI ,JAB UNKI MRITU KA SAMAY AAYA TO SWAYAM YAMRAJ AAYE KINTU BHAGWAN SHIV NE UNHE ROK KAR APNEY PARAM BHAKTA KO DEERGH KAAL JEEVAN PRADAAN KIYA.
     BHAGWAAN BHAKTI AUR NISHTHA KE PARAM MANTRA SE VASIBHOOT HOTE HAI BUS MAN ME SARALTA AUR AASTHA HONI CHAHIYE

BHAGWAN KAUN HAI AUR UNKI PRAKRITI KYA HAI?


BHAGWAAN SHABD PAANCH AKSHARO SE MILKAR BANA HAI. PEHLE KA ARTH HINDI ME BHOOMI(EARTH) DOOSRE KA ATH GAGAN(SPACE) TEESRE KA ARTH VAAYU(AIR) CHAUTHE KA ARTH AGNI (FIRE)AUR PAANCHVE KA ARTH NEER(WATER) HAI. AAP SABHI YE TO JAANTE HE HONGE KI HAMARA SHRIR BHI INHI MOOLBHOOT TATVO SE HE NIRMIT HAI,TO BHAGWAAN KO BAHAR KYON KHOJTE PHIRTE HAI WO TO YAHI HAI HAMARE BHEETAR BUS UNHE DEKHNE WALI AANKHEN(BHAKTI) CHAHIYE.                            
                BHAGWAAN KI PRAKRITI CHAR AUR ACHAR DONO HAI .AGAR CHAR ROOP ME DEKHNA HAI TO SABHI DIKHAI DENE WALE JEEV UNKI CHAR PRAKRITI KA PRAMAN HAI AUR AGAR ACHAR PRAKRITI KI BAAT KARE TO JIS PRAKAAR DO WOOD KE TUKDO KO AAPAS ME RAGADNE SE JO AGNI PAIDA HOTI HAI WO PEHLE TO NAHI DIKHTI LAKIN WO HOTI WAHI HAI YAHI BHAGWAAN KI ACHAR PRAKRITI HAI.